top of page
Article 30-Right of minorities to establish and administer educational institutions
(1) Religion ya language pe based sabhi minorities sections ko apni choice ka educational institute establish or usko administer karne ka right hoga.
(2) Agar state koi aisa law banata hai jo upar banaye gaye minority institute ki property ke compulsory acquisition ke baare me hai, toh state ye ensure karega ki acquisition ke badle milne wala amount itna ho ki clause (1) me mention kiye gaye rights khatam na ho.
(3) Educational institutes ko help dete time, state kisi institute ke against sirf isliye discriminate nahi karega kyunki wo religion or language pe based kisi minority ke management ke andar hai. Baki institutes ko aid dete time state aise institute ko bhi aid dega.
bottom of page